Instagram ek popular photo sharing application hai. Duniya bhar k lakhon or crore log is app ko use karte hai. Pr instagram par sirf photo share nahi hoti. Aap instagram pr photo, video, or stories bhi share kar sakte hai.
Inke alawa app instagram pr live video bhi bana sakte hai. Live video ek tarah ka video call hota hai jo aap apne followers k sath karte hai. Live video ke zariye aap real time m apne followers k saath baat kar sakte hai. Agar aap ek business owner hai to aap live video ke jariye bahut aaram se apne follower or potential customer k saath live baat kar sakte hai.
Ese live video pr baat karne se aap aasani se apne customers k problems or feedback k baare m jaan sakte hai.
Live video ke jariye aap apne family member se bhi aaram se baat kar sakte hai. Ese live video ke jariye aap apne kuch important events, ya memories bhi share kar sakte hai.
Agar aap jaanaa chahte hai ki instagram pr live video kese bana sakte hai to neeche diye hue kuch steps ko follow kar sakte hai.
Instagram pr konsi chiz kaha hai?
Instagram pr live video banane se pehle apko pta hona chahiye ki instagram par konsa feature kaha par hai.
Home Page
Aap jese hi instagram open karte hai to sabse pehla page jo open hota hai usko home page kehte hai. Home page pr apko baki sab jano k posts or stories dikhte hai. Aap in photos ko like kar sakte hai, inko share kar sakte hai, un par comment kar sakte hai or save bhi kar sakte hai.
Aap home page k through dusro k post apni stories par bhi share kar sakte hai.
Reels
Reel section ek naya section hai instagram pr. Reels pr aap 30 seconds ya usse kam ka bhi ek short video banake dal sakte hai. Ye instagram ka naya feature hai or bahut popular ho raha hai. Aap bhi aasani se reel create karke apne account se post kar sakte hai.
Ye bhi padhe: खाना खाने के बाद उल्टी होने का कारण
Search Option
Search option ke jariye aap dusre logo ko dhund sakte hai. Search option k zariye aap apne friends ko location ya name se bhi dhund sakte hai. Agar aap content creator hai to search k through aap trending hashtags bhi dhund sakte hai.
Heart Symbol
Heart symbol par click karne se aap apne posts pr hue sab reactions ko ek jagah pr dekh sakte hai. Agar apke pass koi new follow request aati hai to vo bhi is jagah pr dikhti hai. Agar apka private account hai to aap request accept ya reject kar sakte hai.
Profile Section
Profile section pr aap apna profile dekh sakte hai. Yaha par apko apke post or stories dikhai deti hai. Profile section m hi apke account ki alag alag settings aapko mil jaati hai. Plus icon ki help se aap apne account pr post kar sakte hai.
Instagram pr live video kaise banaye?
Ab aap jante hai ki instagram par konsa feature kaha par hai. To instagram pr live video banane k liye neeche diye hue steps follow kar sakte hai:
- Instagram open karne pr apni profile section pr click kare
- Profile section mai plus (+) button pr click kare
- Plus button par click karne pr apko menu m live video ka option dikhega
- Live video start karne k liye aapko us option par click karna hai
- Apka live video start ho jayega
Live video khtm hone pr aap apna live video apne profile par share bhi kar sakte hai. Ye live video kafi lambi hoti hai isiliye ye IGTV video k form mai apki profile pr share ho jaati hai. Aap chahe to live video apni stories par bhi share kar sakte hai.